If you want to share your original Shayari or Kavita , please email us contact@Amritsari.com. Also if you contribute anything other than Shayari contact us or blog in blog section.
A poem submitted by Sandeep sums up the best of Amritsar. Many Thanks
Wah Wah mere Amritsar shahar ka yaaro kya kehna
Sachmuch yeh shehar to hai poore punjab ka gehna
Amritsar,Jammu,Chintpurni,Jwala ji ke raste me hai aata
Amritsar Nath naam ke yogi par yeh Amritsar kehlata
Shri Devi Talaab Mandir sab ko,dharam ki aur hai moude
Baba Sodal puri karte isha, jo bhi shardha se haath joude
Amritsar ke Sports goods to hai,sari duniya me mashoor
Surgical goods aur Hand tools bhi, quality se hai bharpoor
Lovely sweets se behtar nahi hai, kisi ki bhi yaaro mithai
Woh swaad kya jane jisne, Sodhi Sweets ki jalebi na khai
Naaz ke golgappe dekhte hi, mooh me bhar jaye paani
Mai Hiran gate si kahi tikki nahi, baat hai sab ne maani
Narayan Dass ke vade samose, wah wah paneer pakoude
Dhanna halwai ki khasta puri ke liye,to jate hai sab daude
Cremica wale ki icecream se, behtar nahi koi bhi swaad
Pahwa ki jo khaye lacha kulfi, umar bhar rakhe yaad
Bengali Sweets waalo ke tasty, rusgulle aur rus malai
Arya Sweets walo ne sachmuch,Laddoo par kala dikhai
Model town ki goal market, dil ghoomna chaahe har rouj
Adarsh Nagar market ki Chaupati,me,sab karte hai mauj
Kya kehna Nikku Park ka, jis mai lage hai sundar jhoole
Company Bagh me daud lagana, kehna mujh ko choo-le
Haveli Resorts ke punjabi culture ka, har koi hua diwaana
Kya kehna iss ki sajawat ka, uss pe badhia punjabi khaana
Prithvi Planet Resturent me aa jate,foreign se pyare nazaare
Video games,pool table,bowling aur carrum koi jeete koi haare
Mcdonald,Pizza Hut,Wimpy,Barista me time ho jaata paas
Cafe Day,Vimpy,Jalebi junction me aaye ek sukhad ahsaas
Khane ke liye badhia dhabe Manni,Vijay,Lucky aur Agarwal
Eatme,Eatwell,Mid point karte hai, non veg me bahut kamaal
Stay ke liye Hotel Raddison,Leo,Skylark,President,Maaya
Kum budget me Plaza,Ranvirprime,Shekho sab ko bhaaya
Arre ik baat to bhul hi gaya, ab jaake hua mujh ko ahsaas
Is pyare Shahar me hi to rahte hai Hum, dost aap ke khaas.
Hamari taraf se hai nimantran sab ko, jab chaahe tab aaye
Aur hamare shahar me kya khaas hai,humko jaroor batlaye