Google
 

Amritsari.com

Entertainment Section

Amritsari HomeEntertainment HomeJokesShayariPuzzlesWeird NewsPhotosRecipesDid you know !FilmiSMSDaily Horoscope
Amritsari Shayari Section

Also Check Local Talent  and Funny Shayari

Most of content has been contributed by visitors like you. If you want to share your original Shayari or something interesting, please email us contact@Amritsari.com.

Un Ko Aata Hey Pyar Per Ghussa, Hum Ko Ghussey Pay Pyar Aata Hai

Bewafa to use kehte hai jo wafa nahi karte,
Agar tumse pyar na hota to tumhe bewafa kaise kehte,
Phirbhi tumne mere pyar ka aisa sila diya hai,
Ke tumhe bewafa kehna bhi bewafai ki tauheen hoti hai..
.

Eed ke din aap khadi na hone chhat par
Eed ke din aap khadi na hona chhat par
kahi log roza na chod de aapku chand samaj kar

Hamhe to apnon ne mara
Gairon main kahan dham ta
Meri kashti doobi wahan
Jahan paaani kam tha

Tumhare pyaar me hamne bhohot chote khaye,
Jiska hisaab na hosake utne dard paye,
Phirbhi tere pyaar ki kasam khake kehtahu,
Hamare lab pe tumhare liye sirf pyaar aaye...

Banane mein mazaa hai wo karkhaane jaanthe hai
Pilane mein jo mazaa hai wo meh khaane jaanthe hai
Jalne mein jo mazaa hai wo  parwaane jaanthe hai
Arre yaaro pyar mein jo mazaa hai wo deewaane jaanthe hai

Math pee  ghalib sharab masjid mein baith kar
Math pee ghalib sharab masjid mein baith kar
Ek hi bothal hai kahi khuda na maang le

 

1.      fir kuchch is dil ko beqaraaree hai
        seena   zoya-e-zaKHm-e-kaaree   hai

        [ zoya = searcher, zaKHm-e-kaaree = deep wound ]

2.      fir jigar  khodane laga naaKHun
        aamad-e-fasl-e-laala_qaaree hai

        [ aamad = arrival, fasl = season/harvest ]

3.      qibla-e-maqsad-e-nigaah-e-niyaaz
        fir  wahee  parda-e-'amaaree hai

        [ niyaaz = desire, 'amaaree = rider's seat with a canopy on an
          elephant or camel ]

4.      chashm-e-dallaal -e- jins-e-ruswaaee
        dil KHareedaar-e-zauq-e-KHwaaree hai

        [ chashm = eye, jins = things/items, zauq = taste ]

5.      wohee sad_rang  naala farsaayee
        wohee sad_goona ashq_baaree hai

        [ sad = hundred, naala farsaayee = lamenter, sad_goona = hundred
          times, ashq_baaree = lamentation ]

6.      dil hawa-e-KHiraam-e-naaz se fir
        mahshristaan-e-beqaraaree    hai

        [ KHiraam = speed, mahshar = the last day/"qayaamat ka din",
          mahshristaan = place of the last day ]

7.      jalwa  fir  arz-e-naaz karta  hai
        roz-e-baazaar-e-jaaN_sipaaree hai

        [ jalwa = splendour, jaaN_sipaaree = resigning one's life into
          the hands of another ]

8.      fir usee bewafa  pe marte  haiN
        fir wohee zindagee hamaaree hai

9.      fir khula hai dar-e-adaalat-e-naaz
        garm  baazaar-e-fauj_daaree    hai

        [ dar = abode, fauj_daaree = military court ]

10.     ho  raha hai jahaan meiN  andher
        zulf kee fir sarishta_daaree hai

        [ sarishta_daaree = a regulator's position ]

11.     fir kiya paara-e-jigar ne sawaal
        ek  fariyaad-o-aah-o-zaaree  hai

        [ paara = fragment ]

12.     fir hue haiN gawaah-e-ishq talab
        ashq_baaree ka  hukm_zaaree  hai

        [ talab = search/desire/request, ashq_baaree = lamentation ]

13.     dil-o-mizhgaaN ka jo muqadamaa tha
        aaj  fir  uskee  roob_qaaree   hai

        [ mizhgaaN = eyelids, roob_qaaree = to put the mind into work ]

14.     be_KHudee   be_sabab  naheeN  'GHalib'
        kuchch to hai jiskee pardaadaaree hai

        [ be_KHudee = rapture, be_sabab = without any reason,
          pardaadaaree = to hide, esp. fault ]